Advertisements
Poetry by Nasir Kazmi
Dil main aur to Kya rakha hai
tera dard chhupa rakkha hai
itne dukhon ki tez hawa main
dil ka diip jala rakkha hai
dhoop se chehron ne duniya main
kya andher macha rakha hai
is nagri ke kuch logon ne
dukh ka naam dawa rakkha hai
vada e yaar ki baat na chhedo
ye dhoka bhi kha rakkhā hai
bhul bhi jaao biiti batien
in batoon maim kya rakha hai
chup chup kyun rahte ho ‘Nasir’
ye kya rog laga rakha hai!
Advertisements
