Kuch tu hawa bhi sard thi kuch tha tera khyal bhi

Advertisements

Kuch tu hawa bhi sard thi kuch tha tera khyal bhi,

Dil ko khushi kay sath sath hota raha malal bhi,

Baat wo aadhi raat ki raat wo poray chand ki,

Chand bhi ain chit ka uspy tera jamal bhi,

Sab sy nazar bacha kay wo mujhko kuch aesy dekhta,

Aik dafa tu ruk gyi gardish e mahe wsaal bhi,

Dil tu chamak saky ga kya phir bhi tarash kay dekh lein,

Sheesha giran e shahar kay hath ka yeh kamal bhi,

Usko na pa saky thy jab dil ka ajeeb haal tha,

Ab jo palat kay dekhiye baat thi kuch muhaal bhi,

Meri talab tha aik shakhs wo jo nhin mila tu phir,

Hath dua sy yun gira bhool gya sawaal bhi, 

Uski sukhan tarazian mery liy bhi dhaal thin,

Uski hansi mein chup gya apny gamon ka haal bhi,

Uski rafaqaton mein raat hijar bhi tha wisaal bhi,

Usky hi bazuon mein aur usko hi sochty rahy,

Jisam ki khwahishon py thy rooh kay aur jaal bhi,

Kuch tw hawa bhi sard thi kuch tha tera khyal bhi.

Poet: Parveez Shakir

Advertisements